اردو हिंदी
Wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen | Shaahi Shayari
wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen

Ghazal

Wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen

Wasif Dehlvi

;

wo jis ki justuju-e-did mein pathra gain aankhen
nazar ke samne ek din sar-e-mahfil bhi aaega

ye kya shikwa ki koi chahne wala nahin milta
karam par tum jo ho mail koi sail bhi aaega

ye tufan-KHez maujen ye thapeDe baad o baran ke
safine ko yunhi kahte raho sahil bhi aaega

na ho mayus hamdam panw mein laghzish na aa jae
nazar kuchh dur chal kar jada-e-manzil bhi aaega

mohabbat apne diwanon ko viran rakh nahin sakti
kisi ki justuju mein ek din mahmil bhi aaega

ye mahfil aaj na-ahlon se jo mamur hai 'wasif'
usi mahfil mein koi jauhar-e-qabil bhi aaega