wo jis ke nam mein lazzat bahut hai
usi ke zikr se barakat bahut hai
zara mahfuz raston se guzarna
tumhaari shahr mein shohrat bahut hai
abhi suraj ne lab khole nahin hain
abhi se dhup mein shiddat bahut hai
mujhe sone ki qimat mat batao
main miTTi hun meri azmat bahut hai
kisi ki yaad mein khoe rahenge
gunah-garon ko ye jannat bahut hai
jinhen masruf rahne ka maraz tha
unhen bhi aaj-kal fursat bahut hai
jahan par KHushbuen thin zindagi ki
usi mahfil mein ab ghibat bahut hai
kabhi to husn ka sadqa nikalo
tumhaare pas ye daulat bahut hai
ghazal KHud kah ke paDhna chahte ho
miyan is kaam mein mehnat bahut hai
hawa to tham chuki lekin diyon ke
rawayyon mein abhi dahshat bahut hai
Ghazal
Wo jis ke nam mein lazzat bahut hai
Anjum Barabankvi