wo jis ke dil mein nihan dard do-jahan ka tha
KHabar kisi ko nahin kaun tha kahan ka tha
talash-e-yar mein bhaTka kiye KHalaon mein
hamein zamin ka pata tha na aasman ka tha
hansa jo phul to shabnam ki aankh bhar aai
bahaar samjha jise daur wo KHizan ka tha
hazar bar mara zindagi mein jite-ji
wo shaKHs KHauf jise marg-e-na-gahan ka tha
wahin pe ja ke ruki aaj be-KHudi apni
jahan pe moD mohabbat ki dastan ka tha
bikherta hi raha nur wo shab-e-gham mein
jo mahtab tasawwur ke aasman ka tha
wo jis ne raat dar-e-dil pe aa ke dastak di
zarur jhonka kisi yaad-e-raftagan ka tha
tamam umr ki kawish se tai na ho paya
wo ek fasla jo apne darmiyan ka tha
hua tha qatil sar-e-am jab mera yaro
ajib rang kuchh us waqt aasman ka tha

Ghazal
Wo jis ke dil mein nihan dard do-jahan ka tha
Shola Haspanvi