wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
aaKHir yahi hua ki chhupaya na ja saka
aate hi un ke dasht o jabal muskura uThe
aise mein apna haal sunaya na ja saka
gardun bhi iztirab-e-azizan se hil gaya
soe kuchh aise hum ki jagaya na ja saka
daman ke dagh ashk-e-nadamat ne dho diye
lekin ye dil ka dagh miTaya na ja saka
kitni ghaTaen aain baras kar guzar gain
shola hamare dil ka bujhaya na ja saka
baaten hazar yun to harifon ki chhup gain
'wasif' ka raaz tha jo chhupaya na ja saka

Ghazal
Wo jalwa tur par jo dikhaya na ja saka
Wasif Dehlvi