wo iztirab shab-e-intizar hota hai
ki mahtab kaleje ke par hota hai
fasurda aap na hon dekh kar mera daman
ye bad-nasib yunhi tar tar hota hai
nahin kuchh aur mohabbat ki choT hai hamdam
ye dard dil mein kahin bar bar hota hai
teri talash se ghafil nahin tera wahshi
zawal-e-hosh mein bhi hoshiyar hota hai
ho un ka wada-e-farda ghalat sahi lekin
main kya karun ki mujhe eatibar hota hai

Ghazal
Wo iztirab shab-e-intizar hota hai
Jameela Khatoon Tasneem