wo hai hairat-faza-e-chashm-e-mani sab nazaron mein
taDap bijli mein us ki iztirab us ka sitaron mein
madad ai iztirab-e-shauq tu jaan-e-tamanna hai
nikal ai sabr tera kaam kya hai be-qararon mein
ye kis ka nam le kar jaan di bimar-e-ulfat ne
ye kis zalim ka charcha rah gaya timar-daron mein
zara si chheD bhi kafi hai mizrab-e-mohabbat ki
ki naghme muztarib hain barbat-e-hasti ke taron mein
kahan ka shaghl ab to daur hai KHun-naba-e-gham ka
wahi qismat mein thi jo pi chuke agli bahaaron mein
Ghazal
Wo hai hairat-faza-e-chashm-e-mani sab nazaron mein
Abdul Majeed Salik