wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha
mujhe KHud apne badan mein kisi ka Dar kya tha
koi tamiz na ki KHun ki shararat ne
ek abr o baad ka tufan tha dasht o dar kya tha
zamin pe kuchh to mila chand uljhanen hi sahi
koi na jaan saka aasman par kya tha
mere zawal ka har rang tujh mein shamil hai
tu aaj tak meri haalat se be-KHabar kya tha
ab aisi fasl mein shaKH o samar pe bar na ban
ye bhul ja ki pas-e-saya-e-shajar kya tha
chaTaKHti girti hui chhat ujaD darwaze
ek aise ghar ke siwa hasil-e-safar kya tha
Ghazal
Wo ek shor sa zindan mein raat bhar kya tha
Shamim Hanafi