wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha
kabhi dhuan to kabhi chandni sa lagta tha
hamari aag bhi tapi hamein bujha bhi diya
jahan paDaw kiya tha ajib sahra tha
hawa mein meri ana bhigti rahi warna
main aashiyane mein barsat kaT sakta tha
jo aasman bhi TuTa gira meri chhat par
mere makan se kisi bad-dua ka rishta tha
tum aa gae ho KHuda ka subut hai ye bhi
qasam KHuda ki abhi main ne tum ko socha tha
zamin pe TuT ke kaise gira ghurur us ka
abhi abhi to use aasman pe dekha tha
bhanwar lapeT ke niche utar gaya shayad
abhi wo sham se pahle nadi pe baiTha tha
main shaKH-e-zard ke matam mein rah gaya 'qaisar'
KHizan ka zahr shajar ki jaDon mein phaila tha
Ghazal
Wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha
Qaisar-ul-Jafri