wo dil ki tha kabhi sarsabz khetiyon ki tarah
sulag raha hai jhulaste hue thalon ki tarah
ye sher jis ki zamin ko bhi mujh se shikwe hain
rahega yaad purani mohabbaton ki tarah
kisi jagah pe bhi sayyah dil Thahar na saka
jahan ki sair ko nikle musafiron ki tarah
utarti zehan mein bhi KHush-gawar dhup kabhi
shuru-e-garma ke khulte hue dinon ki tarah
lahu rulati hai be-waqt tang karti hai
hai us ki yaad bhi be-rut ki barishon ki tarah
tumhaari chah ka anjam dekhiye kya ho
laga ke baiThe hain daw juariyon ki tarah
KHud apne sae se bhi kanp kanp uThta hun
main sahma phirta hun mafrur mulzimon ki tarah
us aankh mein koi be-rang si kashish thi 'riyaz'
purane qilon mein kunda ibaraton ki tarah
Ghazal
Wo dil ki tha kabhi sarsabz khetiyon ki tarah
Riaz Majeed