wo Dar ke aage nikal jaega agar yunhi
to jit panw ko chumegi umr bhar yunhi
barhana-pa meri sansen ragon ke nezon par
karengi kaise bhala raqs umr bhar yunhi
saron pe apne tamazat ka bojh uThae hue
ye kaun mahw-e-safar hai Dagar Dagar yunhi
ki jaise pyas se lab jal rahe hon pani ke
shikam ki aag se jalti hai dopahar yunhi
Ghazal
Wo Dar ke aage nikal jaega agar yunhi
Sharib Mauranwi