wo chup tha dida-e-nam bolte the
ki us ke chehre se gham bolte the
sabab KHamoshiyon ka main nahin tha
mere ghar mein sabhi kam bolte the
yahi jo shahr ka hai aaj markaz
yahan sannaTe paiham bolte the
taraste hain usi tanhai ko hum
koi sunta tha aur hum bolte the
koi bhi ghar mein jab hota nahin tha
dar-o-diwar baham bolte the
unhin se bolna sikha tha hum ne
wahi jo bazm mein kam bolte the
Ghazal
Wo chup tha dida-e-nam bolte the
Bharat Bhushan Pant