اردو हिंदी
Wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai | Shaahi Shayari
wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai

Ghazal

Wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai

Khalid Ahmad

;

wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai
ki dil ka pasban khaTka hua hai

wo misra tha ki ek gul-rang chehra
abhi tak zehn mein aTka hua hai

hum un aankhon ke zaKHmae hue hain
ye hath us hath ka jhaTka hua hai

yaqini hai ab is dil ki tabahi
ye qarya rah se bhaTka hua hai

gila is ka karen kis dil se 'KHalid'
ye dil kab ek chaukhaT ka hua hai