wo but bol uTThe kisi baat mein
KHuda se ye manga munajat mein
Tapakta bahut KHana-e-chashm hai
makan baiTh jata hai barsat mein
chaman mein hai gulchin ka khaTka laga
na sayyaad sa ho kahin ghat mein
wahan waz ka shor masjid mein hai
yahan ha-o-hu hai KHarabaat mein
ye dawat adawat hui ai 'waqar'
ki ho ghair daKHil mudaraat mein
Ghazal
Wo but bol uTThe kisi baat mein
Kishan Kumaar Waqaar

