اردو हिंदी
Wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri | Shaahi Shayari
wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri

Ghazal

Wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri

Bashiruddin Ahmad Dehlvi

;

wo apne matlab ki kah rahe hain zaban par go hai baat meri
hai chit bhi un ki hai paT bhi un ki hai jit un ki hai mat meri

kabhi wo milta hai dushmanon se kabhi wo milta hai mujh se aa kar
jo din hai mera to raat un ki jo din hai un ka to raat meri

kabhi hai tola kabhi hai masha kabhi hain na-KHush kabhi hain wo KHush
qarar un ko nahin hai dam-bhar hai tak un ki to ghat meri

ye baat kya hai ye majra kya ye raaz kya hai ye waqia kya
ki han mein han sab mila rahe hain wo kar rahe hain sifat meri

irada hai main likhun fasana kisi ki kuchh dil-shikastagi ka
qalam shikasta paDa kidhar hai kahan hai koi dawat meri

idhar bani hai dil-e-hazin par udhar to sargarm-e-naz hain wo
koi ye aa kar tamasha dekhe ada hai un ki mamat meri

ye ho raha hai tamasha kaisa idhar to gham hai udhar hai shadi
kabhi uThega janaza mera kabhi saji thi baraat meri