wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe
jo un ki muKHtasar rudad bhi sabr-azma samjhe
yahan wabastagi wan barhami kya jaaniye kyun hai
na hum apni nazar samjhe na hum un ki ada samjhe
fareb-e-arzu ki sahl-angari nahin jati
hum apne dil ki dhaDkan ko teri aawaz-e-pa samjhe
tumhaari har nazar se munsalik hai rishta-e-hasti
magar ye dur ki baaten koi nadan kya samjhe
na puchho ahd-e-ulfat ki bas ek KHwab-e-pareshan tha
na dil ko rah par lae na dil ka muddaa samjhe
Ghazal
Wo ahd-e-gham ki kahish-ha-e-be-hasil ko kya samjhe
Faiz Ahmad Faiz