wo ahd ahd hi kya hai jise nibhao bhi
hamare wada-e-ulfat ko bhul jao bhi
bhala kahan ke hum aise guman wale hain
hazar bar hum aaen hamein bulao bhi
bigaD chala hai bahut rasm-e-KHud-kushi ka chalan
Darane walo kisi roz kar dikhao bhi
nahin ki arz-e-tamanna pe man hi jao
hamein is ahd-e-tamanna mein aazmao bhi
fughan ki qissa-e-dil sun ke log kahte hain
ye kaun si nai uftad hai haTao bhi
tumhaari nind mein Dubi hui nazar ki qasam
hamein ye zid hai ki jago bhi aur jagao bhi

Ghazal
Wo ahd ahd hi kya hai jise nibhao bhi
Mustafa Zaidi