wo aasman ke daraKHshinda rahiyon jaisa
andheri shab mein sahar ki gawahiyon jaisa
kiran-shuur, dil-e-jahl mein utarta ja
ki waqt aan paDa hai tabahiyon jaisa
faqir-e-farda! tere nam se mila hai hamein
ye mulk-e-KHwab, teri baadshahiyon jaisa
niyaz-o-arz-e-suKHan se kahan faro howe
ghurur-o-naz ki hai kaj-kulahiyon jaisa
kaha tha kis ne ki shaKH-e-nahif se phuTen
gunah hum se hua be-gunahiyon jaisa
meri baraat kisi ajnabi ka likhkha hua
ye harf harf nawishta siyahiyon jaisa
Ghazal
Wo aasman ke daraKHshinda rahiyon jaisa
Aftab Iqbal Shamim