wo aaj bhi qarib se kuchh kah ke haT gae
duniya samajh rahi thi mere din palaT gae
jo tishna-lab na the wo the mahfil mein gharq-e-jam
KHali the jitne jam wo pyason mein baT gae
sandal ka main daraKHt nahin tha to kis liye
jitne the gham ke nag mujhi se lipaT gae
jab hath mein qalam tha to alfaz hi na the
jab lafz mil gae to mere hath kaT gae
jine ka hausla kabhi marne ki aarzu
din yun hi dhup chhanw mein apne bhi kaT gae
Ghazal
Wo aaj bhi qarib se kuchh kah ke haT gae
Saghar Azmi