wo aag hun ki nahin chain ek aan mujhe
jo din gaya to mili raat ki kaman mujhe
wo kaun hai ki jise aasman mein DhunDta hun
palaT ke dekhta kyun hai ye aasman mujhe
ye kaisi baat hui hai ki dekh kar KHush hai
wo aansuon ke samundar ke darmiyan mujhe
yahin pe chhoD gaya tha use yahin hoga
sukut-e-KHwab hai aawaz ka nishan mujhe
wo muntaqim hun ki sholon ka khel khelta hun
meri kamingi deti hai dastan mujhe
main apni aankhon se apna zawal dekhta hun
main bewafa hun magar be-KHabar na jaan mujhe
Ghazal
Wo aag hun ki nahin chain ek aan mujhe
Saqi Faruqi