waqt se kahiyo zara kam kam chale
kaun yaad aaya hai aansu tham chale
dam-ba-KHud kyun hai KHizan ki saltanat
koi jhonka koi mauj-e-gham chale
chaar su bajen palon ki paelen
is tarah raqqasa-e-alam chale
der kya hai aane wale mausamo
din guzarte ja rahe hain hum chale
kis ko fikr-e-gumbad-e-qasr-e-habab
aabju paiham chale paiham chale
Ghazal
Waqt se kahiyo zara kam kam chale
Muneer Niyazi

