waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka
suraj ki zid dekho ye nahin Dhalne ka
main bhi talash-e-ab-e-hawas mein nikla hun
shor suna tha ek chashme ke ubalne ka
ahl-e-junun kyun dasht mein aana chhoD diya
bhul gae fan nok-e-KHar pe chalne ka
subh talak is shahr mein jaane kya ho jae
rishta DhunDho raaton-raat nikalne ka
yaad-e-yar ka aa jaana bhi Thik sahi
raaz magar gahra hai dil ke machalne ka
Ghazal
Waqt qarib hai phir manzar ke badalne ka
Prem Kumar Nazar