waqt ke intizar mein wo hai
justuju-e-shikar mein wo hai
sina-e-raazdar hi mein nahin
dida-e-ashkar mein wo hai
aaina saf ho to dekh use
naqsha-e-dil-figar mein wo hai
us ke qabze mein kaenat sahi
fuqara ki qatar mein wo hai
sar pe dastar-e-fazl hai lekin
jubba-e-tar-tar mein wo hai
be-karan zehn o dil ki hai wusat
jism-o-jaan ke hisar mein wo hai
us ki chaaron taraf kitaben hain
halqa-e-gham-gusar mein wo hai
pesh-e-zalim sada-e-haq yani
nargha-e-sad-hazar mein wo hai
qila-e-be-basar mein tum mahfuz
KHud-kalami ke ghaar mein wo hai
KHak tum pa sakoge KHak use
aab o baad o sharar mein wo hai
lamha-ha-e-sukun mein us ki talash
saat-e-iztirar mein wo hai
pairwi us ki hai abas 'rahi'
KHud hi rah-e-farar mein wo hai
Ghazal
Waqt ke intizar mein wo hai
Rahi Fidai