waqt-e-tazin jo dikhae wo safa sine ko
munh dikhane ki na phir ja rahe aaine ko
gham nahin mahfil-e-jaanan mein nahin sadr-nashin
us ne sine mein to jawe hai mere kine ko
ai sanam tujh ko jo pahuncha wo KHuda ko pahuncha
zina-e-arsh samajhta hun tere zine ko
shaal-e-shahi se ziyaada hai mujhe kamli-e-faqr
jaanta pashm barabar hun main pashmine ko
hum wo hatim hain ki jo surat-e-qarun ai 'shad'
sath le jaenge zar banT ke ganjine ko
Ghazal
Waqt-e-tazin jo dikhae wo safa sine ko
Shad Lakhnavi