waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe
marte marte de diya angur ka pani mujhe
wo meri surat to dekhen apni surat ke liye
kash aaina bana de meri hairani mujhe
kaT gaya hai wasl se pahle zamana umr ka
hae dhoka de gaya bahta hua pani mujhe
daman-e-sahra se lunga mar ke wahshat mein kafan
ek naya joDa pinhaegi ye uryani mujhe
mere gul ko la ya apne phul le ja andalib
aise kanTon se nahin fansen nikalwani mujhe
tum agar chaho to miTTi se abhi paida hon phul
main agar mangun to dariya bhi na de pani mujhe
tishna-kaami is ko kahte hain ki bahr-e-ishq mein
main agar utrun to upar phenk de pani mujhe
aisi mushkil tum ne Dali hai ki jab mar jaunga
muddaton roya karegi meri aasani mujhe
tu ne itni di ki mai-KHwari ki hasrat bah gai
main ne itni pi ki aaKHir ho gai pani mujhe
rone jata hun main apni hasraton ke Dher par
be-kasi aa kar sikha de marsiya-KHwani mujhe
hashr mein chalna paDega ek TeDha rasta
kucha-e-jaanan sikha de Thokaren khani mujhe
'muztar' apne haq ke kanTe chun ke main ruKHsat hua
aur kya deti bahaar-e-gulshan-e-fani mujhe

Ghazal
Waqt-e-aKHir yaad hai saqi ki mehmani mujhe
Muztar Khairabadi