waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai
meri duniya ke ghazalon ka lahu pita hai
ishq ne mar ke swayamwar mein use jita hai
dil siri-ram hai dilbar ki raza sita hai
ab bhi ghanshyam hai is dasht ka buTa buTa
barg ne aaj bhi insan ke liye gita hai
jagmagati rahi ashkon se shab-e-tar-e-hayat
dip-mala ki tarah daur-e-alam bita hai
koi lahka jo sar-e-dar to yazdan ne kaha
ibn-e-adam ne mah-o-sal ka ran jita hai
tujhe sajdon ke ewaz mil na saki ruh-e-bashar
hum ne sar de ke KHudai ka bharam jita hai
Ghazal
Waqt aafaq ke jangal ka jawan chita hai
Sher Afzal Jafri