walwale jitne safar ke the safar itne na the
dur the raushan nagar hum se magar itne na the
band aankhen jab khulin to raushni pahchan li
be-KHabar hum hon to hon par be-basar itne na the
maslahat ke hath ab apni ana bhi bik gai
be-sar-o-saman the pahle bhi magar itne na the
mustahiq aankhen meri jaanib uThi thin jis qadar
dukh to ye hai meri shaKHon par samar itne na the
sath-e-chehra par bhi pahle ek Thahraw sa tha
dil ki gahrai mein bhi 'mohsin' bhanwar itne na the

Ghazal
Walwale jitne safar ke the safar itne na the
Mohsin Shaikh