wajud ko jigar-e-mo'tabar banate hain
alam pe hath to nezon pe sar banate hain
chaman bhi ho koi amboh-e-KHar-o-KHas jaise
ye kar-KHane to barg o samar banate hain
hawa ka tabsira ye sakinan-e-shahr pe tha
ajib log hain pani pe ghar banate hain
qarin-e-aql hai kya koi sochta hi nahin
KHabar uDane se pahle KHabar banate hain
nahin ye shart ki sab tez-gam ho jaen
jo dida-war hain unhen ham-safar banate hain
kaDi ho dhup to do phul pyar ke hans kar
tapsida rahon mein shaKH-e-shajar banate hain
kamal-e-kibr se kahta tha chaaragar mera
ki hum tufang o sinan pusht par banate hain
kabhi sukun kabhi josh-e-junun kabhi hairat
mera mizaj mere kuza-gar banate hain
kiya rahin-e-hunar hum ko na-rasai ne
udas banhon mein shams o qamar banate hain
KHayal-e-KHair hasinon mein hai ki waqt-e-KHiram
zamin ko madan-e-lal-o-guhar banate hain
Ghazal
Wajud ko jigar-e-motabar banate hain
Syed Amin Ashraf