اردو हिंदी
Wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona | Shaahi Shayari
wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona

Ghazal

Wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona

Khalid Yusuf

;

wajh-e-ruswai hai ab laeq-e-mahfil hona
un ki fahrist-e-tabarra mein na shamil hona

fan ka dawa hai to kuchh jurat-e-izhaar bhi ho
zeb deta nahin fankar ko buzdil hona

madh-e-gul-chin ho jahan maslak-e-murghan-e-chaman
hum ko manzur nahin faKHr-e-anadil hona

apni pahchan hai wo qarya-e-tarik jahan
munsifon ko bhi mayassar nahin aadil hona

mere sheron ne use soch mein Dala to sahi
nek hai dil mein bhi razm-e-haq-o-baatil hona

chand nikle to sahi baam pe kuchh shor to ho
kuchh zaruri to nahin hai mah-e-kaamil hona

na siyasat na maishat na ba-nam-e-mazhab
ab gawara nahin paband-e-salasil hona

saneha is se baDa aur bhala kya hoga
'KHalid' us shoKH ke qabze mein mera dil hona