wahshat mein nikal aaya hun idrak se aage
ab DhunDh mujhe majma-e-ushshaq se aage
ek surKH samundar mein tera zikr bahut hai
ai shaKHs guzar dida-e-namnak se aage
us par se aata koi dekhun to ye puchhun
aflak se pichhe hun ki aflak se aage
dam toD na de ab kahin KHwahish ki hawa bhi
ye KHak to uDti nahin KHashak se aage
jo naqsh ubhaare the miTae bhi hain us ne
darpesh phir ek chaak hai is chaak se aage
aaine ko toDa hai to malum hua hai
guzra hun kisi dasht-e-KHatarnak se aage
ham-zad ki surat hai mere yar ki surat
main kaise nikal sakta hun chaalak se aage
Ghazal
Wahshat mein nikal aaya hun idrak se aage
Rafi Raza