wahshat ke sath dasht meri jaan chahiye
is aish ke liye sar-o-saman chahiye
kuchh ishq ke nisab mein kamzor hum bhi hain
kuchh parcha-e-sawal bhi aasan chahiye
tujh ko supurdagi mein simaTna bhi hai zarur
sachcha hai karobar to nuqsan chahiye
ab tak kis intizar mein baiThe hue hain log
ummid ke liye koi imkan chahiye
hoga yahan na dast-o-gareban ka faisla
is ke liye to hashr ka maidan chahiye
aaKHir hai e'tibar-e-tamasha bhi koi chiz
insan thoDi der ko hairan chahiye
jari hain pa-e-shauq ki iza-rasaniyan
ab kuchh nahin to sair-e-bayaban chahiye
sab shairan KHarida-e-darbar ho gae
ye waqia to daKHil-e-diwan chahiye
mulk-e-suKHan mein yun nahin aane ka inqalab
do-chaar bar nun ka elan chahiye
apna bhi muddaton se hai ruqa laga hua
bilqis-e-shairi ko sulaiman chahiye
Ghazal
Wahshat ke sath dasht meri jaan chahiye
Irfan Siddiqi