wahshat-e-dil sila-e-abla-pai le le
mujh se ya-rab mere lafzon ki kamai le le
aql har bar dikhati thi jale hath apne
dil ne har bar kaha aag parai le le
main to us subh-e-daraKHshan ko tawangar jaanun
jo mere shahr se kashkol-e-gadai le le
tu ghani hai magar itni hain sharait teri
wo mohabbat jo hamein ras na aai le le
aisa nadan KHaridar bhi koi hoga
jo tere gham ke ewaz sari KHudai le le
apne diwan ko galiyon mein liye phirta hun
hai koi jo hunar-e-zaKHm-numai le le
meri KHatir na sahi apni ana ki KHatir
apne bandon se to pindar-e-KHudai le le
aur kya nazr karun ai gham-e-dildar-e-faraaz
zindagi jo gham-e-duniya se bachai le le
Ghazal
Wahshat-e-dil sila-e-abla-pai le le
Ahmad Faraz