wahm jaisi shukuk jaisi chiz
umr hai bhul-chuk jaisi chiz
kaise rakkhen zamir ko mahfuz
peT mein le ke bhuk jaisi chiz
ghol di hai ghazal ke lahje mein
main ne koyal ki kuk jaisi chiz
dard ban kar teri judai ka
dil mein uThti hai huk jaisi chiz
kash hoti hasin logon mein
koi husn-e-suluk jaisi chiz
maslahat ki bina pe log 'salim'
chaT lete hain thuk jaisi chiz

Ghazal
Wahm jaisi shukuk jaisi chiz
Sardar Saleem