wahm hi hoga magar rose kahan hota hai
dhundh chhai hai to ek chehra ayan hota hai
sham KHush-rang parindon ke chahak jaane se
ghar hua jata hai din mein jo makan hota hai
wo koi jazba ho alfaz ka mohtaj nahin
kuchh na kahna bhi KHud apni hi zaban hota hai
be-sabab kuchh bhi nahin hota hai ya yun kahiye
aag lagti hai kahin par to dhuan hota hai
baz-gasht aur sadaon ki ubhar aati hai
jitna KHali koi 'akhilesh' kuan hota hai
Ghazal
Wahm hi hoga magar rose kahan hota hai
Akhilesh Tiwari