wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi
zindagi dast-ba-dil KHak-basar hai ki jo thi
dekh kar bhi tere jalwe nahin dekhe jate
wahi pabandi-e-adab-e-nazar hai ki jo thi
tujh se mil kar bhi gham-e-hijr ki talKHi na miTi
ek hasrat si ye andaz-e-digar hai ki jo thi
shoala-e-dard bujhe der hui hai lekin
wahi tabindagi-e-dida-e-tar hai ki jo thi
tu meri jaan nahin ab magar ai jaan-e-'azim'
zindagi ab bhi teri dast-nigar hai ki jo thi
Ghazal
Wahi yaksaniyat-e-sham-o-sahar hai ki jo thi
Azeem Murtaza