wahi sitara jo bujh gaya ham-safar tha mera
usi ki samt ek sabz sahil pe ghar tha mera
main is zamin par burida bazu sisak raha hun
jo uD raha tha hawa mein wo ek par tha mera
wo hath mere jinhon ne talwar saunt li thi
jo KHak o KHun mein luthaD gaya tha wo sar tha mera
zamin yahan se wahan talak sabz ho rahi thi
magar jo be-barg-o-bar khaDa tha shajar tha mera
wahan ke ghar to fana ne KHamosh kar diye the
ajib sunsan bastiyon se guzar tha mera

Ghazal
Wahi sitara jo bujh gaya ham-safar tha mera
Siraj Muneer