wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe
jinhen pas-e-izzat-e-harf tha wo riyazaton mein lage rahe
unhen tum daraazi-e-umar ki nahin, hausle ki duaen do
wo jo ek nisbat-e-be-aman ki hifazaton mein lage rahe
mere hath mein tere nam ki wo lakir miTti chali gai
mere chaara-gar mere dard ki hi wazahaton mein lage rahe
unhen be-yaqini-e-subh ki main dalil dun bhi to kis tarah
wo jo ibtida mein hi intiha ki zamanaton mein lage rahe
teri hairaten teri aankh mein hi tamam umr paDi rahin
teri shaeri ke sabhi hunar to shikayaton mein lage rahe

Ghazal
Wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe
Najmus Saqib