اردو हिंदी
Wahi KHaraba-e-imkan wahi sifal-e-qadim | Shaahi Shayari
wahi KHaraba-e-imkan wahi sifal-e-qadim

Ghazal

Wahi KHaraba-e-imkan wahi sifal-e-qadim

Saeed Ahmad

;

wahi KHaraba-e-imkan wahi sifal-e-qadim
humak raha hai kahin dil mein ek KHayal-e-qadim

khaDa hun jaise abhi tak azal ke zine par
nazar mein hai wahi nazzara-e-jamal-e-qadim

firaq-raat mein zinda rahe ki zinda thi
hamari ruh mein sarshaari-e-visal-e-qadim

mera wajud hawala tera hua aaKHir
to kha gaya na mujhe tu mere sawal-e-qadim

ye habs-e-waqt ye la-intiha ghuTan ki ruten
baras ke khul bhi kabhi abr-e-ehtimal-e-qadim

'said' kahne ko kya kuchh badal gaya lekin
wahi hai tu wahi zindan-e-mah-o-sal-e-qadim