اردو हिंदी
Wahi be-libas kyariyan kahin bel buTon ke bal nahin | Shaahi Shayari
wahi be-libas kyariyan kahin bel buTon ke bal nahin

Ghazal

Wahi be-libas kyariyan kahin bel buTon ke bal nahin

Tafzeel Ahmad

;

wahi be-libas kyariyan kahin bel buTon ke bal nahin
tujhe kya bulaun main bagh mein kisi peD par koi phal nahin

hue KHushk bahr to kya hua meri naw zor-e-hawa pe hai
mere baadban hain bhare hue so bala se ret mein jal nahin

hai dabaw ashra hawas par hain tamam uzw khinche rabar
hun uthal-puthal se ghira magar mujhe izn-e-radd-e-amal nahin

kisi be-ghurub nigah se kisi la-zawal shua mein
sabhi zawiyon se alag-thalag mujhe hal karo mera hal nahin

teri nind se baDi aankh mein mujhe tabkar kare kiran
mujhe aisi dhat ka qalb de jise KHauf-e-radd-o-badal nahin

kahin paniyon mein bichhi na ho kabhi sahilon si khuli na ho
wo zamin de mere jahaz ko jahan dusre ki pahal nahin

sabhi sard-o-garm ibaraten mere KHal-o-KHad ka hain zahira
jise taKHliye ki amin kahun wo sunane wali ghazal nahin