wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai
meri yaadon mein ek bhula hua chehra bhi rahta hai
jab us ki sard-mehri dekhta hun bujhne lagta hun
mujhe apni adakari ka andaza bhi rahta hai
main un se bhi mila karta hun jin se dil nahin milta
magar KHud se bichhaD jaane ka andesha bhi rahta hai
jo mumkin ho to pur-asrar duniyaon mein daKHil ho
ki har diwar mein ek chor darwaza bhi rahta hai
bas apni bebasi ki satwin manzil mein zinda hun
yahan par aag bhi rahti hai aur nauha bhi rahta hai
Ghazal
Wahi aankhon mein aur aankhon se poshida bhi rahta hai
Saqi Faruqi