wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
ki tere nam ki raT hai KHuda ke nam ke baad
wahan bhi wada-e-didar is tarah Tala
ki KHas log talab honge bar-e-am ke baad
gunahgar ki sun lo to saf saf ye hai
ki lutf-e-rahm-o-karam kya phir intiqam ke baad
talab tamam ho matlub ki agar had ho
laga hua hai yahan kuch har maqam ke baad
wo KHat wo chehra wo zulf-e-siyah to dekho
ki sham subh ke baad aae subh sham ke baad
payam-bar ko rawana kiya to rashk aaya
na ham-kalam ho us se mere kalam ke baad
abhi to dekhte hain zarf baada-KHwaron ka
subu o KHum ki bhi Thahregi daur-e-jam ke baad
ilahi 'asi'-e-betab kis se chhuTa hai
ki KHat mein roz-e-qayamat likha hai nam ke baad
Ghazal
Wahan pahunch ke ye kahna saba salam ke baad
Aasi Ghazipuri