wafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
kaha kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
masihai ka dawa aur bimaron se ye ghaflat
dawa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
raqibon par adu par ghair par charKH-e-sitamgar par
jafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
kabhi dad-e-mohabbat de ke haq meri wafaon ka
ada kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
zakat-e-husn de kar apne kuche ke gadaon ka
bhala kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
dil-e-'muztar' ko qaid-e-dam-e-gesu-e-pareshan se
riha kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte

Ghazal
Wafa kya kar nahin sakte hain wo lekin nahin karte
Muztar Khairabadi