wafa-e-dostan kaisi jafa-e-dushmanan kaisi
na puchha ho kisi ne jis ko us ki dastan kaisi
kuchh aisa ehtiram-e-dard-e-ulfat hai mere dil ko
KHamoshi hukmaran hai aah o fariyaad o fughan kaisi
kisi ko fikr-e-azadi nahin is qaid-e-rangin se
dil-e-alam pe hai chhai hui mohr-e-butan kaisi
bhula hi dete hain us ko jo guzra bazm-e-alam se
hai sab ko apni apni fikr yaad-e-raftagan kaisi
tumhaara muddaa hi jab samajh mein kuchh nahin aaya
to phir mujh par nazar Dali ye tum ne mehrban kaisi
abhi hote agar duniya mein 'dagh'-e-dehlawi zinda
to wo sab ko bata dete hai 'wahshat' ki zaban kaisi
Ghazal
Wafa-e-dostan kaisi jafa-e-dushmanan kaisi
Wahshat Raza Ali Kalkatvi