اردو हिंदी
Wapas jo nahin aaega mein wo safari hun | Shaahi Shayari
wapas jo nahin aaega mein wo safari hun

Ghazal

Wapas jo nahin aaega mein wo safari hun

Jarrar Chhaulisi

;

wapas jo nahin aaega mein wo safari hun
ai dost gale lag ki charagh-e-sahari hun

ai husn ye andaz-o-ada tujh mein kahan the
main tere liye aaina-e-ishwa-gari hun

baDhti hui tahrik-e-siyasat mujhe samjho
elan-e-baghawat pae bedad-gari hun

duniya ke liye jo hai ujalon ka payambar
zulmat-kada-e-shab mein wo najm-e-sahari hun

rangini-o-KHush-pairahni hai mere dam se
gulshan mein kali tum mein nasim-e-sahari hun

hairat se na kyun dekhe mujhe sara zamana
parwarda-e-aghosh-e-kamal-e-bashari hun

tum bhi ho adaon ki kashakash mein giraftar
kya fikr jo main qaidi-e-ashufta-sari hun