اردو हिंदी
Wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf | Shaahi Shayari
wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf

Ghazal

Wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf

Shah Naseer

;

wan kamar bandhe hain mizhgan qatl par donon taraf
yan saf-e-ushshaq hain zer-o-zabar donon taraf

zulf ka sar-basta kucha mang ka rasta hai tang
dil teri shamat hai mat ja be-KHatar donon taraf

dair-o-kaba mein tafawut KHalq ke nazdik hai
shahid-e-mani ka har surat hai ghar donon taraf

hai wo dariya mein nahata main hun gharq-e-ab-e-sharm
kuchh ajab ek majra hai Turfa-tar donon taraf

ishq wo hai jis ke hathon qumri o bulbul ke aah
zer-e-sarw-o-gul paDe hain baal-o-par donon taraf

chashm mein kya nur hai dil mein bhi us ka hai zuhur
zahir-o-baatin wahi hai jalwa-gar donon taraf

aamad-o-shud mein hai dekhi sair-e-basti-o-adam
hum ko is mehman-sara mein hai safar donon taraf

shama kuchh jalti nahin parwana bhi deta hai ji
sozish-e-ulfat se hai ji ka zarar donon taraf

panja-e-mizhgan pe rakhkhun kyun na main dil aur jigar
nazr ko laya hun teri kar nazar donon taraf

dil mein gar aata hai to aa jaan-e-man aankhon ki rah
is makan-e-dil-kusha ke hain ye dar donon taraf

kuchh habab o bahr mein mat farq samjho ai 'nasir'
dekho Tuk chashm-e-haqiqat khol kar donon taraf