اردو हिंदी
Wada gar rose kiye jaiyega | Shaahi Shayari
wada gar rose kiye jaiyega

Ghazal

Wada gar rose kiye jaiyega

Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri

;

wada gar rose kiye jaiyega
rose samjhunga ki aaj aaiyega

jaan ka gham nahin gham ye hai ki aap
qatl kar ke mujhe pachhtaiyega

main bhi hun hazrat-e-naseh dana
kuchh samajh kar mujhe samjhaiyega

laghar itna hun ki hun ghar mein magar
mere ghar mein na mujhe paiyega

tum nahin qaul-o-qasam ke sachche
jhuT kahta hun qasam khaiyega

dar pe rahne ki ijazat de kar
kahte hain panw na phailaiyega

kya hai jo kahte ho mutrib se tum aaj
koi 'nazim' ki ghazal gaiyega