uThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai
pau phaTne se pahle hi gali jag uThi hai
aashiq ho to choron mein bhi ab nam likhao
darwaza bhale band hai khiDki to khuli hai
log apne makanon ki taraf bhag rahe hain
ghar walon pe jaise koi uftad paDi hai
ai baad-e-saba kis liye phirti hai pareshan
kya tu bhi usi phul ki Thukrai hui hai
aa gardish-e-dauran tujhe sine se laga lun
ab tak to meri jaan tu mere sath rahi hai
ab aae ho duniya mein to yun munh na bigaDo
do roz to rahna hai buri hai to buri hai
bazar ke damon ki shikayat hai har ek ko
phir bhi sar-e-bazar baDi bhiD lagi hai
kanTe ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi'
chhoDo ye ghazal-goi ye bimari buri hai
Ghazal
UThte hue qadmon ki dhamak aane lagi hai
Mohammad Alvi