uTha surahi ye shisha wo jam le saqi
phir is ke baad KHuda ka bhi nam le saqi
phir is ke baad hamein tishnagi rahe na rahe
kuchh aur der murawwat se kaam le saqi
tere huzur mein hosh-o-KHirad se kya hasil
kabhi to hosh-o-KHirad se bhi kaam le saqi
phir is ke baad jo hoga wo dekha jaega
abhi to pine pilane se kaam le saqi
hamein hai kaif o nashat-e-surur se matlab
nahin hai mai to nigahon se kaam le saqi
ye aur kuchh bhi hon kafir nahin hain tere rind
to baad-e-jam KHuda ka bhi nam le saqi
kaho ye KHizr se bhaTke na yun zamane mein
yahan se aab-e-baqa-e-dawam le saqi
sahar ka kaam nahin mai-kade ki duniya mein
sahar ka nam na le lutf-e-sham le saqi
kabhi tha zinat-e-mahfil wo rind-e-dariya nosh
ba-waqt-e-daur 'sahar' ka bhi nam le saqi
Ghazal
UTha surahi ye shisha wo jam le saqi
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar