uTha ke naz se daman bhala kidhar ko chale
idhar to dekhiye bahr-e-KHuda kidhar ko chale
meri nigahon mein donon jahan hue tarik
ye aap khol ke zulf-e-dota kidhar ko chale
abhi to aae ho jaldi kahan hai jaane ki
uTho na pahlu se Thahro zara kidhar ko chale
KHafa ho kis pe bhanwen kyun chaDhi hain KHair to hai
ye aap tegh pe dhar kar jila kidhar ko chale
musafiran-e-adam kuchh kaho azizon se
abhi to baiThe the hai hai bhala kidhar ko chale
chaDhi hain tewriyan kuchh hai mizha bhi jumbish mein
KHuda hi jaane ye tegh-e-ada kidhar ko chale
gaya jo main kahin bhule se un ke kuche mein
to hans ke kahne lage hain 'rasa' kidhar ko chale
Ghazal
UTha ke naz se daman bhala kidhar ko chale
Bhartendu Harishchandra