uTha ke mere zehn se shabab koi le gaya
andhere chiKHte hain aaftab koi le gaya
main sare kaghzat le ke dekhta hi rah gaya
sawab koi le gaya azab koi le gaya
supurd kar ke KHamushi ki mohr-e-KHush-numa mujhe
labon se nara-ha-e-inqalab koi le gaya
hai e'tiraf mere hath mein jo ek chiz thi
sambhaal kar rakha to tha janab koi le gaya
ye gham nahin ki mujh ko jagna paDa hai umr bhar
ye ranj hai ki mere sare KHwab koi le gaya
shajar shajar waraq waraq payam-bar wahan bhi hai
jahan se har sahifa har kitab koi le gaya
shanaKHt ho saki na phir bhi ye mera qusur tha
hamare darmiyan tha jo hijab koi le gaya
Ghazal
UTha ke mere zehn se shabab koi le gaya
Aziz Tamannai