utar kar paniyon mein chand mahw-e-raqs rahta hai
meri aankhon mein kuchh is taur koi shaKHs rahta hai
ajab hairat hai akasr dekhta hai mere chehre ko
ye kis na-ashna ka aaine mein aks rahta hai
meri basti ka koi ghar bhi ghar jaisa nahin lagta
kahin tamir-e-baam-o-dar mein koi naqs rahta hai
jami hai gard aankhon mein kai gumnam barson ki
mere andar na jaane kaun buDha shaKHs rahta hai
chalo baad-e-saba ko jangalon se DhunDh kar laen
fasil-e-shahr mein 'azhar' bala ka habs rahta hai
Ghazal
Utar kar paniyon mein chand mahw-e-raqs rahta hai
Azhar Naqvi